Sign in to like videos,
subscribe, and earn!
Languages
No language preferences
Interests
No interest preferences
How earnings work →
Got more questions? View FAQs
© 2026 LYKSTAGE
Show more
Lokesh Yadav
57 subscribers
Uploaded to LYKSTAGE
Aug 4, 2025
Zindagi ki sachchai, karmo ki sachchai, bhagwan ko dekhne ki nazariya ki sachchai sab kuch bahot gaherai se samjhaya hai aap ne. Lyrics : Prem Prabhu ka baras raha hai Pee le amrit, pyaase Saaton teerath tere andar Baahar kise talaashe? Kan-kan mein Hari, kshan-kshan mein Hari Muskaanon mein, ansuvan mein Hari Mann ki aankhein tune kholi Toh hi darshan paayega Pata nahin kis roop mein aakar Narayan mil jaayega Pata nahin kis roop mein aakar Narayan mil jaayega Niyati bhed nahin karti Jo leti hai, woh deti hai Jo boyega, woh kaatega Yeh jag karmon ki kheti hai Niyati bhed nahin karti Jo leti hai, woh deti hai Jo boyega, woh kaatega Yeh jag karmon ki kheti hai Yadi karm tere paavan hain sabhi Doobegi nahin teri naav kabhi Teri baah pakadne ko Woh bhes badal ke aayega Pata nahin kis roop mein aakar Narayan mil jaayega Pata nahin kis roop mein aakar Narayan mil jaayega Neki vyarth nahin jaati Hari lekha-jokha rakhte hain Auron ko phool diye jisne Uske bhi haath mehekte hain Neki vyarth nahin jaati Hari lekha-jokha rakhte hain Auron ko phool diye jisne Uske bhi haath mehekte hain Koi deep mile toh baati ban Tu bhi toh kisi ka saathi ban Mann ko Manasarovar kar le Toh hi moti paayega Pata nahin kis roop mein aakar Narayan mil jaayega Pata nahin kis roop mein aakar Narayan mil jaayega Kaan laga ke baatein sun le Sookhe huye darakhton ki Leta hai Bhagwan pareeksha Sab se pyaare bhakton ki Ek prashn hai gehra Jiski Hari ko thaah lagani hai Teri shraddha sona hai Ya bas sone ka paani hai Jo phool dhare har daali par Vishwas toh rakh uss maali par Tere bhaag mein patthar hai Toh patthar bhi khil jaayega Pata nahin kis roop mein aakar Narayan mil jaayega Pata nahin kis roop mein aakar Narayan mil jaayega Pata nahin kis roop mein aakar Narayan mil jaayega
Read more
Similar videos